Dosti Shayri

Saal to kai aaye aur chale gaye per es baar hum kehte hain
raho khush aur aabaad aap sab ye dua hum karte hain
na bichure kisi sei kisi ka meett (dost), dilo/ruh se kehte hain
aap sabko hum naye saal ki dili shubh kaamnaayein dete hain…

Jab jindagi meri kuch rukne lagi thi,
Badte kadam kuch thakne lage the,
Sahara yu dost ka mila mujhko
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.

Kuch chehre jab paraye hone lage the,
Kuch haath chod ke jaane lage the,
Tere haath ne kuch yu thama mujhko
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.

Safar main jab paya akela maine khudko tha,
Shitij pe tara koi na tha raahgir mera,
Kuch yu humsafar ban gaye tum mere,
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.

Ab na kissi saathi ki khwahish hogi
Ke dost tere jaisa jo mil gaya hai mujhko,
Kuch yu khili hai mushkilo main dosti apni
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.

Ab na aanjam ki fikr hai mujhko,
Nahi raah ki mushkilo ka koi dar hai,
Baantein kuch pal saath hum raah main istarah
Ke duniya kare gumaan dosti pe anpni…….

 

Kyo patjhar me shavan ka entajar karta hu,
Kyo her ghadi sirf tera entajar karta hu,
Tu koin hai ?, kaha hai? in sab se anajan hu,
Kya teri tarah mai bhi tera araman hu
TU na aa per aane ka vaada to kar

Meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
Teri aas me na jane kab se shoya nahi,
Teri yaad na jane kitani raate raoya
Ab apani khusi se mera gum aadha to kar
Tu na aa magar aane ka vaada to kar

 

Bole wo dosti,chup rahe wo pyar;
milaye wo dosti,juda karaye wo pyar ;
hasaye Wo dosti,rulayeWo pyar;
phirBhi log dosti chodkar kyo karte hai pyar.
………… ……… ……… ………
todne ke liye wada kiya nahi jata.
soch samajkar pyar kiya nahi jata.
yakin karo pyar ho ya dosti ,
agar dil se ki ho toh uske bina ek pal bhi jiya nahi jata


………… ……… ……… ………
Jaam tutne ka bahana na kar,
Hum to teri aakhon se pee lenge,
Tu mat aa lakin aane ka wada to kar,
Hum tere intjar mein jee lenge…
………… ……… ……… ………
SAPNO KI DUNIA SAJA RAKHI HAI,
MOHABAT KI JYOTI JALA RAKHI HAI,
MERE DIL KO AB KOI NHI BACHA SAKTA,
PATHAR DIL SE PYR KI UMEED JO LAGA RAKHI HAI.

 

Har raat chandni raat nahi hoti,
har dost me aap jaisi baat nahi hoti,
na jaane khuda kaun si saza de raha hai,
jo aaj kal aapse baat nahi hoti…

 

Hamari us sitare se dosti ho gai
Jisko Soch-soch k savera ho jaye,
Socha ki chura loon use aasman se,
Par darr hai ki us jagah andhera na ho jaye.

Rahe door to aapki yaad aayi,
Khai thokar to aapki yaad aayi,
Bure ins an to mile jindagi me bahut, lekin?
Jab ache insaan ki baat aayi to aapki yaad aayi.